Jiss Kaa Koi Bhii Nahin Usska Khuda Hain Yaaron
Main Nahin Kehta Kitaabon Mein Likhha Hain Yaaron
Moud Ke Dekhoun To Kidhar Aur Sada Doun To Kisse
Mere Mazine Mujhe Chhod Diya Hain Yaaron
Shab Hain Is Waqt Koi Ghar Naa Khula Paaoge
Aaon Mehkhane Ka Darwaza Khula Hain Yaaron
Koii Karta Hain Duwaaen To Ye Jaal Uthhta Hain
Mera Jeevan Kisi Mandeer Ka Diya Hain Yaaron
Main Aandhere Mein Rahoun Yea Main Ujaale Mein Rahoun
Aisa Lagta Hain Koii Dekh Raha Hain Yaaron
Haal Ka Zakhm To Mazi Se Bohot Gehra Hain
Aaj Zakhmi Mera Saaya Bhi Houa Hain Yaaron
Intezar Aaj Ke Deen Kaa Tha Badi Muddat Se
Aaj Ussne Mujhe Deewana Kaha Hain Yaaron
Iss Saza Se To Mera Dil Hii Nahin Bharta Hain
Zindegi Keise Gunaahon Kii Saza Hain Yaaron