Jhulasti Dhup Mein Aksar
Wo Nanhe Masiha Nazar Aa Jate Hain
Jinke Peron Ko Jakhmon Ki Aadat Hai
Wo Apne Dard Ko Nazarandaaz Kar Jaate Hain
Unki Kameezon Par Pure Batan Nahi Hote
Phir Bhee Shaan Se Ithlaate Hain
Kabhi Caron Ke Sheeshe Chamkaate
To Kabhi Jute Polish Karte Nazar Aa Jaate Hain
Wo Kisi Doud Mein Shaamil Nahi
Unhe Koi Mukaam Bhee Nahi Bhata
Wo Us Sukhi Roti Mein Bhee Khush Hain
Jiska Ek Tukda Bhi Hamaare
Gale Se Neeche Nahi Jaata
Unki Baaton Mein Badi Saralta Hai
Wo Chikni Chupdi Baatein Nahi Banaten Hain
Her Din Naya Sagharsh Hai Unke Liye
Wo Apne Or Apnon Ke Khaatir
Khun Paseene Ki Tareh Bahaate Hain
Hum Sift Mohobbat Ke Dard Se Ladte Hain
Ye Roj Jaane Kitne Dardon Se Lad Jaate Hain
Jaane Jamaane Ki Nazaron Mein Kya Hain Wo
Mujhe To Wo Sab Asli Maseeha Nazar Aate Hain