Jholee Main Phool Nahee Kuch Aur Bhar Kar
Rat Ke Doosre Pahar Tumahre Swapn Tak Chalee Ayee Hoon
Sath Mere Ek Parshn Layee Hoon Main Tumahree Kaun Hoon?
Aur Sada Kee Tarah Tum Bhee Maun Ho Main Bhee Maun Hoon
Par Is Baar Samdhee Se Ankh Khol Dete Ho
Jaise Bin Kahe Bhee Sab Bol Dete Ho
Ankh Main Sab Dikhata Hai Kaun Kazal Se Yahan Sare
Uttar Likhta Hai Maine Parh Lee Aaj
Kazal Aur Ankh Main Jo Nikata Hai
Maine Jan Liya Pustak Se Shabdon Ka Sambandh
Main Samjh Gayee Tum Shabd Ho Main Vyakaran Hoon
Tum Jee Rahe Ho Main Tumhara Acharan Hoon
Main Nahee To Tum Sarthak Nahee Ho
Main Tumhara Arth Hoon Main Tumahree Smarth Hoon
Tum Ram Ho To Main Rajtilak Nahee Tumhara Banwas Hoon
Main Har Pareeksha Main Tumahre Pas Hoon
Nahee Main Tumhara Swapn Nahee Tuamhre Jeewan Ka Moolya Hoon
Sanson Kee Kamayee Hoon Tum Ne Mujhe Mehanat Se Kamaya Hai
Hathon Kee Rekahayon Ke Bhagya Se Nahee Ayee Hoon
Tum Ne Mujhe Sitaraon Kee Daya Se Nahee Paya Hai
Main Tumahre Jeevwan Ka Moolya Bhee Hoon
Paritosh Bhee Hoon Main Tumahree Sahchar Hee Nahee
Tumhara Hosh Bhee Hoon Tumhaar Josh Bhee Hoon
Ab Sambandhon Ke Prashn Phir Nahee Ayenge
Ab Shwas Shankayon Ko Kabhee Nahee Doharayenge
Kabhee Nahee