Jabse Tuzhe Jeena Sikh Liya Bus Jeeta Chala Aya
Har Jagah Tere Andaz Alag Alag Dekh Liye
Logoki Bhidmein Khokar Dekh Liya
Har Ek Ki Ahsasomein Bus Tuzhe Jeeta Chala Aya
Dekhte Dekhte Andaz Badal Rahete Aur Taranebhi
Sochte Sochte Haqiqat Ban Rahithi Aur Fasanebhi
Jaise Logomein Such Aur Zooth Ke Fasle Dekh Liye
Jabse Tuzhe Jeena Sikh Liya Bus Jeeta Chala Aya-Â….
Kayee Baar Aisa Bhi Hua Tha..
Manjeele Samne Khadi Thi Jaise Waqt Intazaar Kar Raha Tha
Har Dagar Pe Yadomein Tum Khadi Thi
Ankho Ki Palkoko Zukaneparbhi
Tum Dilki Gahrayeeonmein Gumshuda Thi
Aaj Pahunch Bhi Paya Tehnipar To
Tera Ahasasbhi Chaman Mein Khil Raha Tha
Log Kah Rahe The Hawnke Zhokomein Khil Raha Hoon
Sooraj Ke Roshni Mein Chamakta Muskura Raha Hoon
Main Kah Raha Tha Chalte Chalte Har Rah Pe Tera Saya Tha
Dhondte Dhondte Jise Aajtak Bus Chala Aa Raha Hoon
Kabhi Hosh Khota Hoon, Fir Sambhal Jaata Hoon
Na Manjil Ka Pata Hain Na Khudka
Har Fasle Par Karne Ke Baad Bhi Aur Janneke Baad Bhi
Pata Nahi Yeh Koi Pyas Hain Ya Koi Kasturisi Khushboo Hain
Kayee Baar Aisa Bhi Hua Tha..
Majeele Samne Khadi Thi Jaise Waqt Intazaar Kar Raha Tha