Jab Yaad Ki Aandhi Chalti Hai
Aur Dard Ke Badal Chahte Hain
Iss Dil Kii Viraan Bashti Mein
Toofan Hazaron Uthte Hain
Phir Iss Ki Hasin Wo Tashviren
Aashkon Mein Sabhi Beh Jaati Hai
Ujdii Hui Apni Aankhon Mein
Kuch Yaadein Basi Reh Jaati Hai
Phir Neend Yun Jab Aati Hai
Phir Apna Sakun Lut Jata Hai
Taaron Ki Sangat Mein Yaaron
Phir Waqt Yun He Kat Jata Hai
Ilzaam Hazaron Isne Diye
Par Humse Shikayat Ho Na Saki
Iss Se The Gile Humko Bhi Magar
Tavheen Mohabbat Ho Na Saki
Kiyun Itnee Pareshan Rehtee Ho
Har Shaks Humein Ye Kehta Hai
Hum Kaise Dikha Dein Duniya Ko
Wo Dard Jo Dil Mein Rehta Hai
Har Khwaab Suhana Tut Gaya
Aur Ab To -Ë—naeem-‘ Ye Aalam Hai
Apnaa Jo Kabhi Tha Jaan-E-Wafa
Ab Aur Kisi Kay Hum Dam Hai