Jab Jab Peehu Peehu Papiha Gaaye,
Ashq Aankho Se Bebaak Chalak Jaayei,
Teri Yaado Ke Bhule Huye Manzar
Meri Soch Pe Haawi Huye Jaayei
Sunehri Sham Woh Dubta Suraj,
Saahil Se Takraati Toofaani Lehrein,
Woh Thandi Bundo Ka Mujhe Chuna
Mera Sihar Ke Muskura Ke Thum Jaana
Saawan Ke Jhulo Mei Jhulte Woh Badal
Dur Kahie Bijli Ka Kondh Ke Tham Jaana
Teri Baaho Mei Yu Simmat Jaate
Sehme Darre Meri Saanso Ke Toofaan
Geeli Mehakti Bikhri Meri Zulfei
Mere Chehre Se Tera Yu Hatta Dena
Unn Nasheelee Aankho Ka Madmast Jaadu
Jannat Ka Sa Sukoon Pal Mein Pa Lena
Paharhi Raasto Pe Barhti Gaarhi
Khubsurat Ghumaawdar Barfeelee Raahei
Woh Thhandi Hawa Ke Purzor Jhonke
Hontho Pe Thirakte Muhabbat Ke Taraane
Socha Thha Apne Maazi Ki Kabr Mei
Tamaam Yaadei Dafna Aayi Houn Mai
Kyun Har Pal Teri Yaado Ke Gehre Saaye
Meree Ruh Ko Zakhmi Kiye Jaate Hain
Ai Pagal Papeehe Ja Urh Ja
Maazi Ki Yaadei Unhe Bhi Dila