Jab Labon Per Khamoshi Ho Gum Ka Izhar Mushkil Ho
To Is Dard Ka Madawa Kar Sakta Hay Woh Anso
Jis Ki Rawani, Dashte Dil Ki Werani
Ko De Jaye Haryali, Ansoo Lakh Khamosh Sahi Magar
Rakhte Hain Yeh Bhi Zuban, Har Katre Main Pinha
Hoti Hay Aik Dastan Zamana Gar Na Jane Bhi To Kiya
Is Wasela-E-Izhar Ko Dil K Is Bar Ko
Magar Dil Ko Aik Umeed Bohat Hay Ghamon K Andhere Main
Roshni Ki Naveed Bohat Hay K Shyad Ashna Ho Woh Bhi
Jazbon Ki Kahani Se Ik Katra Pani Se
Jo Jazba-E-Dil Ka Tarjuman Ban Kar
Teri Yadon Ka Nighhaban Ban Kar
Ankh Se Behta Hwa Tehar Gya Hay Honton Per
Khan Banjara Mohabat Ka Maza To Judai Main Hay