Jab Kabhi Bhii Rakhi Aati Hain,
Hatheen Suni Ho Jati Hain,
Pata Nahi Kyon Koi Bahna Nahi Aati Hain.
Surat Roni Ho Jati Hain,
Jab Kabhi Bhii Rakhi Aati Hain.
Jab Kabhi Bhii Rakhi Aati Hain,
Bahanoon Ke Liye Khub Pyar Lati Hain,
Bhaiyoon Ke Liye Jimmedariyon Ka Bhar Lati Hain.
Aankheen Nam Ho Jati Hain,
Jab Kabhi Bhi Rakhi Aati Hain.
Jab Kabhi Bhi Rakhi Aati Hain,
Resham Ki Wo Patli Dor Aati Hain
Jo Bhai Bahan Ke Rishte Ko Aur Majbut Bana Jati Hain.
Jindagi Gamgeen Ho Jati Hain,
Jab Kabhi Bhi Rakhi Aati Hain.
Jab Kabhi Bhi Rakhi Aati Hain,
Bahnoon Me Khshboo Ki Bahar Aati Hai,
Bahanoon Ki Ki Hathoon Me Mithai Aa Jati Hain.
Mahshoos Tanhai Ho Aati Hain,
Jab Kabhi Bhi Rakhi Aati Hai.
Jab Kabhi Bhi Rakhi Aati Hai,
Bahanoon Ki Laboon Par Muskurahat Aa Jati Hain,
Bhaiyoon Ki Jeben Khali Ho Jati Hain.
Jindagi Maut Ban Jati Hain,
Jab Kabhi Bhi Rakhi Aati Hain.