Jab Hum Khush Hain ,
Tab Bahut Pyaari Hai Jindagi;
Jab Hum Udas Rahen,
Tab Dukh Bhari Hai Jindagi;
Jab Dil Ko Koi Achchha Lage ,
Tab Rangeen Hai Jindagi;
Jab Mann Soch Mein Dooba Rahe,
Tab Bahut Gaheri Hai Jindagi;
Jab Kathinaiyan Samne Aaye,
Tab Mushkilon Se Ladna Hai Jindagi;
Jab Hoonsala Afjaayi Ho ,
Tab Prerna Hai Jindagi;
Jab Kisi Ke Samne Jhukna Pade ,
Tab Khaamosh Hai Jindagi;
Jab Bahut Kuch Sahna Pade ,
Tab Lachar Hai Jindagi;
Jab Duniya Sachchhi Lage ,
Tab Masoom Hai Jindagi;
Jab Jhoot Se Dhaki Sachchhayi Samne Aye ,
Tab Dardnak Hai Jindagi;
Jab Dil Toot Jaye ,
Tab Gamoon Se Ghiri Hai Jindagi
Jab Prem Mile ,
Tab Anurag Hai Jindagi;
Jab Kuch Samajh Na Aaye ,
Tab Ghor Andhera Hai Jindagi;
Jab Raasta Najar Aaye ,
Tab Nayi Subah Hai Jindagi;
Jab Sapne Bikhar Jaaye ,
Tab Aankon Ka Nam Hona Hai Jinagi;
Jab Sapne Sakar Hon ,
Tab Pagalpan Hai Jindagi;
Apno Ke Prati Pyaar Hai Jindagi,
Unke Liye Kuch Bhi Kar Kujarne Ki Chahat Hai Jindagi;
Aur Toh Aur
Gairon Ko Apna Bnaaye Ye Jindagi;
Sach Poochoo Toh Ae Dost,
Paristithi Ke Saanche Main
Khud Ko Dhalna Hai Jindagi.