Jab Dil Bahut Kuch Kehna Chahe Par Koi Sunne Wala Na Ho
Jab Insaan Apni Khushian Aur Gham Kisi Ke Saath Baantna Chahe
Par Koi Saathi, Humsafar Na Ho To Man Bechain Ho Uthhta Hai
Aur Ik Kavita Janm Leti Hai Haan Ek Kavita Janm Leti Hai
Jo Man Ko Chain Deti Hai Aur Phir Voh Man Jo Maayush Tha,
Jo Kisi Ko Kuch Sunane Ke Liye Aatur Tha Khush Ho Jata Hai
Jab Ek Kavita Janm Leti Hai Par Kabhi-Kabhi Virag Si Kali Ghata
Is Man Par Bhi Chha Jati Hai Tab Hridaya Dravit Ho Uthhta Hai,
Aur Aankhen Bhi Bhar Aati Hain Par Voh Khush Bhi To Ho Jata Hai,
Jab Is Kavita Ke Jariye Apni Baatein Sirf Kuch Ko Nahin Sabko Keh Pata Hai
Par Kya Yoon Hi Kavitayen Janmi Hain Kya Sukh Dukh Inki Janni Hain…
Kya Man Hi Inhe Sanjota Hai Moti Hain Yeh…
Jinko Voh Yoon Hi Pirota Hai Ya Phir Moti Se Anmol…
Ya Shayad Sabse Anmol