Is Baar Woh Mila To Ajeeb Us Ka Rang Tha
Alfaaz Mein Tarang Na Lehja Dabang Tha
Ek Soch Thi Ke Bikhri Huee Khaal-O-Khad Mein Thi
Ek Dard Tha Ke Jis Ka Shahid Ang-Ang Tha
Ek Aag Thi Ke Raakh Mein Poshida Thi Kahin
Ek Jism Tha Ke Rooh Se Masaroof-E-Jang Tha
Main Ne Kaha Ke Yaar Tumhein Kya Hua Hai Ye
Us Ne Kaha Ke Umr-E-Ravaan Ki Ataa Hai Ye
Main Ne Kaha Ke Umr-E-Ravaan To Sabhi Ki Hai
Us Ne Kaha Ke Fikr-O-Nazar Ki Ataa Hai Ye
Main Ne Kaha Ke Sochta Rehta To Main Bhi Hoon
Us Ne Kaha Ke Aaiina Rakha Hua Hai Ye
Dekha To Mera Apna Hi Aks-E-Jamaal Tha Woh
Woh Main Tha Aur ‘Himmayat Ali’ Tha Woh