Is Ajnabi Anjaan Nagar Mein
Is Be Raham Weeran Shahar Mein
Jahan Na Apna Hai Na Paraya Koi
Na Saathi Hai Na Sangi Koi
In Tanhayon Ke Dairay Mein
Na Umeedion Ke Ghairay Mein
Aur Gham Kay Ghor Andhairay Mein
Jab Bhi Aas Ka Dia Bujhnay Laga
Aur Umeed Ka Daman Chutnay Laga
To Aisay Main Bas Jugno Hain Kuch Yaadon Kay
Kuch Beetay Dino Ki Baaton Kay
Yaadain Kuch Beeti Baharon Ki
Kuch Apno Ki Kuch Pyaron Ki
Jo Hum Ko Yaad Dilati Hain
Jeenay Ki Aas Dilati Hain
Kay Shaid Kisi Ki Baato’n Main
Aur Shaid Kisi Ki Aankhon Main
Apni Yaad Ka Deep Bhi Jalta Ho
Aur Shad Kahin Par Door Bohat
Koi Yaad Humain Bhi Karta Ho