In Bhookh Se Bilakhte Bachhon Ko
Tum Jhoothi Tassali Mat Dilaao Ey Maa
Mai Mama Hone Me Sharmaata Hoon
Inhe Mere Kisse Mat Sunaao Ey Maa
Mai Inki Maasoom Si
Ummeedon Se Dar Jaata Hoon,
Koi Farishta Inke Khaatir Nahi Aata
Tum Inhe Haalaat Se Ladna Sikhaao Ey Maa
Sikhlaao Ke Aasmaanon Ko Takna Chhodein
Is Jaameen Ke Seene Ko Sajaaein,
Ye Mitti Sona Bhi Ugal Sakti Hai
Mai To Inke Kaatir Jal Bhi Nahi Barsaata Ey Maa
Ye Jo Roshni Mere Aaspaas
Meri Khushhaali Si Nazar Aati Hai,
Udhaar Ka Hai Sabkuchh
Mai To Apne Daaon Ko Chhupaata Hoon Ey Maa,
Jo Thode Me Hi Khush Ho Jaate Hon
Aksar Dard Me Bhi Muskuraate Hon,
Mai Kuchh Bhi Nahi, Tum Janni Ho Inki
In Sabko Wo Nek Insaan Banaao Ey Maa