IN Aainon Se Najaane Kyon
Humlog Nazrein Churane Lage Hain,
Shayad Hame Inme Hamaare
Asli Chehre Nazar Aane Lage Hain,
Aalim To Ho Gaye Hum Lekin
Insaaniyat Kaheen Jaati Rahi,
Apni Mak.Kariyaan Nazarandaz Kar Gaye
Jamaane Ki Khataein Nazar Aati Rahi,
Mandiron Or Masjidon Ke Siva
Kuchh Or Fikr Na Kar Sake,
Ghar Jalaane Ko Mashaalein Bahut Mil Gai
Ek Umr Se Thande Pade Chulhe Or Pathraai Aankhein
Hum Phir Se Roshan Na Kar Sake,
Koi Kashmeer Me Ladta Hai
Koi Irak Par Nahaq Hi Garajta Hai,
Shayad Khabar Nahi Kisi Ko 
Sudan Me Har Roj Ek Insaan
Bhookh Se Ladte Huwe Marta Hai.
Yoon To Har Hunar Se Maahir Tabka
Is Jamaane Ne Bana Diya,
Afsos Insaan Banaane Ka Saancha Na Mil Saka
Suna Hai Ik Umr Huve Isne
Us Sanche Ko Guma Diya.