Ik Din Humne Dekha Jis Raah Se Hum Gurajra Karte The
Kisi Gujre Hue Ko Kuch Log Kandhe Par Rakh Kar Le Jaa Rahe The
Bahut Se Chehre Udas The Kuch Bahana Bana Rahe The
Ek Shaksh Magar Us Bheed Mein Kuch Yoon Chilla Rahe The
Raam Naam Sat Hai Gadde Khambe Bacha Ke
Hum Ne Badhe Hi Achraj Se Us Bande Se Poocha
Bhai‚  Raam Ka To Sab Ko Hi Aasra Hai
Magar Yeh Gaddhe Khabme Ka Kya Majra Hai
Uss Ne Kaha Bhai Kya Kahoon Dukh Bhari Kahani Hai
Yeh Jo Gujri Hai Mere Bete Ki Nani[M’nal Grand Mother] Hai
Ek Bar Pehle Bhi Is Ka Dum Nikla Tha
Ise Le Ja Rahe The Jab Ek Bande Ka Pair Fisla Tha
Jane Kaise Aarthi Ik Khambhe Se Jaa Takraai
Aur Merri Jaan Ki Dusman Ne Ik Nayi Jindagi Paayi
Us Din Se Aaj Tak Is Ne Mujhe Apne Isharoon Par Nachaya Hai
Is Liye Aaj Mere Dil Mein Yeh Khyaal Aaya Hai
Raam Naam Sat Hai Gadde Khambe Bacha Ke