Ik Asmaan Ka Taara Tha Ik Gulsitan Ka Phool
Ik Dooje Se Pyar Kernay Ki Donon Ne Ki Thi Bhool
Sab Ne Taaray Ko Samjhaya Mat Ker Ye Nadani
Zameen Per Khilnay Wala Phool Kia Janay Tera Moal
Taara Tha Naadaan Kerta Raha Man Maani
Kehne Laga Main Hoon Kismat Ka Sitara Pa Ke Rahoonga Phool
Kismat Bhi Taaray Per Door Kharri Muskurati
Kehti Jaanay Na Ye Pagal Taara Kismat Ka Kia Qaul
Ik Din Taaray Ne Machal Ker Phool Ke Paas Janay Ki Thaani
Toota Taara Urrta Pohancha Paanay Ko Woh Phool
Kismat Chal Chuki Thi Chaaal Apni Purani
Na Raha Aasman Ka Na Howa Zameen Ka Tara Na Pa Saka Woh Phool