Ik Anjaane Se Safar Pe Nikal Jane Ko Ji Chaha
Na Socha, Na Jana Phir Bhi Ik Manzil Pane Ko Ji Chaha
Ik Mast Pawan Ke Jhoke Ne Kiya Rukh Us Manzil Ki Aur
Jo Thi Sapnon Ki Duniya Us Duniya Mein Kho Jane Ko Ji Chaha
Par Mein Bhi Thi Nadaan Badi Akhir Meri Soch Bhi Rub Se Ladi
Ki Kiun Ab Tak Mein Door Thi Apne Pariwaar Se
Apno Se Mil Kiun Ro Jane Ko Ji Chaha
Mere Khoobsurat Sapne Ne Bhi Kabhi Aise Dost Nahin Dikhaye
Ki Ab Aisi Dosti Pe Dil Lutaane Ko Ji Chaha
Ik Dost Hai Meri Meena Didi Maa Hain Sabki Meri Didu
Inke Pyaar Ko Pakar Ab Ik Aur Zindagi Jine Ko Ji Chaha
Ik Aur Anmol Hira Hai Paras-Mani Hai Naam Unka
Jinki Mithi Baaton Se Phir Dost Banane Ko Ji Chaha
Zindagi Bahut Aasaan Hai Jina Seekha Aaj Chaand Ji Se Meine
Unki Suljhi Soch Ko Soch Phir Se Ulajhne Ko Ji Chaha
Manoj Bhai Se Milkar Janakhamoshi Kaise Gungunaati Hai
Aaj Phir Un Khamosh Rahon Par Raasta Banane Ko Ji Chaha
Kshitij Se Milkar Meine Dekha Aasmaan Aur Zameen Ko Ek Saath
Jahan Husi Ne Chupa Liya Dard Ko Ki Ab Apna Dard Bhi Chupane Ko Ji Chaha
Jab Mili Akshat Se Toh Jana Saaf Dil Aaj Bhi Hai Duniya Mein
Uski Bholi Baaton Ko Sun Phir Baccha Ban Jane Ko Ji Chaha
Shweta Hai Ik Nanhi Pari Muskrahat Uski Ronak Bani
Uski Pyaari Kuhu Ko Sun Kuhulika Ban Jaane Ko Ji Chaha
Nahin Mili Thi Kunal Se Kabhi Aur Aaj Who Saath Tha Ghar Tak Mere
Aise Pyaare Dost Ko Dekh Ik Saccha Dost Ban Ne Ko Ji Chaha
Ik Dost Bani Pallo Husmukh Jo Husti Hai Aur Phir Husti Hai
Usko Huste Huste Husta Dekh Phir Khulkar Husne Ko Ji Chaha
Husna Gana Sab Saath Tha Mere Ik Khyaal Bhi Paas Tha Mere
Us Pawan Ke Jhoke Ko Dekhsheesh Jhukaane Ko Ji Chaha
Is Mast Pawan Ke Jhoke Ne Keecha Mujhe-Â… Ki Chal Ud Mere Saath
Mein Chal Padi, Sang Uske Masti Mein Jahan Thehri Wahi Ruk Jane Ko Ji Chaha
Yeh Hawa Sabke Dil Ko Chooti Hai Bina Kuch Chahe Kiun Itna Pyaar Deti Hai
Is Hawa Ko Sab Kehte Hai Pulkit Isko Dekh, Sach Mein Pulkit Hone Ko Ji Chaha
Dost Abhaari Hoon Mein Tumhari Ki Ik Dosti Ke Badle Tumne Diye Itne Dost
Maang Sakte Ho Toh Aaj Maanglo Kuch Bhi Ki Aaj Phir Dil Se Kuch Dene Ko Ji Chaha