Humein Bus Yeh Pataa Hain Woh Bohat Hi Khubsurat Hain
Lifafay Ke Liye Laikin Patay Kee Bhee Zaroorat Hain
Humne Sanam Ko Khat Likhaa, Khat Mein Likhaa
Aye Dilrubaa, Dil Kee Gali, Shehre Wafa
Pahunche Yeh Khat Jaanay Kahan, Jaanay Banay Kyaa Dastaan
Us Par Rakeebon Kaa Yeh Darr Lag Jaye Unkay Haath Gar
Kitna Bura Anjaam Ho Dil Muft Mein Badnaam Ho
Aisa Na Ho Waisa Na Ho Apnay Khuda Say Raat Din
Manga Kye Hum Ye Dua Humne Sanam Ko Khat Likha
Peepal Ka Yeh Patta Nahin, Kaagaz Ka Yeh Tukda Nahin
Is Dil K Yeh Armaan Hain Is Mein Hamaari Jaan Hai
Aisa Ghazab Ho Jaye Na Raste Mein Yeh Kho Jaaye Na
Humnay Badi Takid Ki Dala Ise Jab Daak Mein
Yeh Daak Babu Say Kaha Humne Sanam Ko Khat Likha
Barson Jawab-E-Yaar Ka Dekha Kiye Hum Raasta
Ek Din Woh Khat Vapas Mila Aur Dakiye Nay Yeh Kaha
Is Dakhkhanay Mein Nahin, Saaray Zamaanay Mein Nahin
Koi Sanam Is Naam, Ka Koi Gali Is Naam Ki
Koi Shehar Is Naam Ka Humne Sanam Ko Khat Likha