Hum Kaise Pagal Hote Thay
Aik Phool Ko Chune Ke Khaatir
Kantoan Se Zakhmi Hote Thay
Jo Phool Jhooli Main Aa Girtaa
Usse Chune Se Dar Jaate Thay
Hum Kaise Pagal Hote Thay
Kay Dhundalay Aaino Main Apna
Hum Aks Sa Dhunda Karte Thay
Aur Kirchiyaan Chataktay Aaino Ki
Muthi Main Daba Kar Rakhtey Thay
Hum Kaise Pagal Hotey Thay
Jab Sarak Per Chalna Hota Tha
Hum Kashti Lay Kar Chaltey Thay
Aur Beech Bawar Janay Ke Liye
Hum Pedal Nikla Kartey Thay
Hum Kaise Pagal Hotey Thay
Jab Barish Barsa Karti Thi
Hum Chatri Main Chhup Jaatey Thay
Aur Jalti Dhoop Main Nanggay Sir
Hum Chhut Per Uchla Kartey Thay
Hum Kaise Pagal Hotey Thay
Jab Pass Bohat Wo Hota Tha
Hum Us Ko Dekh Na Saktey Thay
Jab Dur Chala Jata Tha Wo
Hum Ahhat Us Ki Suntey Thay
Hum Kaise Pagal Hotey Thay
Jab Sari Duniya Soti Thi
Hum Chand Say Khaila Kartey Thay
Jab Sari Duniya Jaag Uthi
Hum Phir Thak Kar So Jatay Thay
Hum Kitney Pagal Hotey Thay
Hum Kaise Pagal Hotey Thay
Hum Aaj Bhi Waise Chanchal Hain
Hum Aaj Bhi Waise Pagal Hain