Her Patthar Ki Khabar Rakhte Hain
Her Haath Pe Nazar Rakhte Hain
Her Shaam Banate Hai Apni Duniya
Phir Subah Usi Mein Zehar Rakhte Hain
Jalaate Hai Dil Roj Gum-E-Furqat Mein
Fir Dahek-E-Lakht-E-Jigar Se Teri Suni Mehfil Munaawar Rakhte Hain
Ya To Barbaad Hote Hai Shama Ki Aabru Bachaane Mein
Ya Diljale Bankar Shama Ko Bhujaane Ka Hunar Rakhte Hain
Aur Rakhte Hai Thodi Si Dil Mein Jagah
Apni Aankhon Mein Baarishon Ka Asar Rakhte Hain
Rakhte Hai Khwab Dekhne Ki Fursat Raaton Mein
Din Mein Awargi Ka Bhi Adab Rakhte Hain
Hum Rakhte Hai Rago Mein Lava
Aur Aankho Me Khun-E-Jigar Rakhte Hain
Rakhte Hai Dilo Mein Sard Aaahe
Halki Si Muskurahat Mein, Dard-E-Sama Rakhte Hain