Hazaar Baar Kahaan Ko Chaley Kahaan Pahunchey
Zarrah-E-Reyg-E-Rawaan Kyaa Patah Kahaan Pahunchey?
Safar Hai Yuun To Hamein Un Key Dar Pai Jaanaa Hai;
Qaarwaan-E-Hayaat Kaash Jaa Wahaan Pahunchey
Sadaayen Un Kee Roz Dastakeyn Deyteen Hain Kyoun?
Kaash Woh Khojtaa Huaa Hamain Yahaan Pahunchey
Tamaam Raat Sitaarey Jagey Hain Saath Yahaan;
Jaagney Saath Kaash Aaj Jaan-E-Jaan Pahunchey
Raah Pai Un Kee Muntzir Hain Ham Zamaaney Sey
Saath Hon Un Key Yahaan Jab Bhi Kaarwaan Pahunchey
Un Key Qaasid Ney Kahaa Thaa Ki Aa Rahey Hain Woh
Dahar Gaye Hain Naheen Fir Bhi Mehrabaan Pahunchey
Qaraar Ou Wa-‘adah Iqraar Ou Waqaar-E-Wafaa
Kaash Taameer Par Salaasat-E-Bayaan Pahunchey
Log Kahtey Hain Baar-Baar Ham Na Hon Beychain;
Bulbuleyn Hongeen Fanaa Gar Na Baagbaan Pahunchey
Na Sahee Wasl; Nazar Sey Nazar Milaaou Sanam
Nigah Mein Taaki -Ë—abd-‘ Dard Kee Zubaan Pahunchey