Hawa Ne Badla Rookh
Toh Ek Phool Mere Daaman Mein Aa Gaya
Jisse Main Samajhti Rahi Khoya Hua
Aaj Wo Mere Saamne Aa Gaya
Dard Bhare Sada Meri Jholi Mein Khuda Ne
Aaj Uski Aankh Mein Bhi Ek Aansoon Aa Gaya
Khushi Ki Aas Takk Chod Di Thi
Aaj Magar Mujhe Hansana Aa Gaya
Chalte Ja Rahe Thhey Yoon Befikri Se
Aankh Kholi Toh Jaane Kaunsa Mod Aa Gaya
Kaafila Jo Bichad Gaya Tha Barso Pehle
Aaj Mujhse Milne Aa Gaya
Haat Gaye Sab Badal Meri Zindagi Se
Neela Aasma Nazar Aa Gaya
Barso Se Rooke Thhey Jo Kadam
Aaj Unhe Chalna Aa Gaya
Bechain Si Har Raat Sarak Jaati Thi
Aaj Magar Khamoshi Mein Sukoon Aa Gaya
Tanhai Ke Andheron Mein Khud Ko Dhoondhti Thi
Aaj Rahoon Mein Ek Diya Nazar Aa Gaya
Har Shaam Feeki Thi Meri
Aaj Mehfil Mein Rang Aa Gaya
Dil Ke Kissi Kone Mein Marti Thi Roz
Aaj Mujhe Jeena Aa Gaya.
Aaj Mujhe Jeena Aa Gaya.