Hasne Ka Irada Tha Rone Ka Irada Tha
Gum Aur Khushi Me Sath Hone Ka Irada Tha
Rothe Vo Jo Humse To Marne Ka Irada Tha
Is Jan Ko Kurban Karne Ka Irada Tha
Badkismati Hai Meri Ki Ji Rahe Hain Hum
Kismat Ka Meri Shayad Kuch Aur Irada Tha
Najre Mila Lete Hain Hum Bhi Sar Utha Ke Ab
Ye Beadabgi Karne Ka Pahle Na Irada Tha
Abaad Jo Hua Tha To Ab Sochta Hu Main
Barbad Usi Din Mera Hone Ka Irada Tha
Har Bar Toot Ke Bhi Phir Judta Gaya Kyonki
Har Bar Mera Shayad Bikharne Ka Irada Tha
Toota Jo Ye Bharam Jahan Me Hai Koi Mera
Duniya Se Usi Roj Rukhsat Ka Irada Tha
Jo Pyar Pa Kar Khud Ko Khuda Maan Lete Hain
Aise Butoo Ke Beech Na Jine Ka Irada Tha