Har Suu Nazar Aata Hai Mujhe Bas Tu Hi Tu
Har Phool Mehakta Hai Lekar Teri Hi Khushboo
Nazar Jo Uthhi Aasmaan Par To Teri Yaad Aayi
Woh Chaand Hai ‘E Haseen’ Tujhsa Hu B Hu
Tere Rukhsar Ke Deedar Par Likhi Bahut Si Ghazlein
Ab Didar E Gul Ko Tarasti Nigahon Ka Takaza Likhoo
Ik Muddat Se Jaaga Huun,Nahin Sone Deti Baatein Teri
Har Raat Yaad Aati Hai Woh Apni Aakhri Guftgoo..
Ishq Mein Nakaam Hokar Bhi Aisa Kaam Kar Diya Yaaro
Dekh Le Tu Bhi ‘Ghalib’ Bahaya Aaj Hamne Aanko Se Lahoo
(Rago Mein Daurne Firne Ke Hum Nahin Kayal,
Jab Aankh Hi Se Na Barsa To Phir Lahoo Kya Hai Mirza Ghalib)
Maine Dekha Hai Bedard Ke Seene Mein Dil Hai Hi Nahin,
Kis Shaunk Se Aakar Meri Qabar Pe Usne Bahaye Aansoo??
Teri Taseer Dekhkar Badal Gaye ‘Maut’ Ke Bhi Mijaaz,
Bewafa Keh Kar Chali Gayi Tadap Le Abhi Kuchh Der Aur Tu..
Ab Bhi Zinda Hai ‘Parwana’ Magar Ik Laash Ki Tarah
Na Usse Teri Rahi Na Hi Rahi Ab ‘Maut Ki Aarzoo..