Har Nazar Hai Nafrath Bhari Is Paar Bhi Us Paar Bhi
Hai Ashiyan Jalne Ka Dar Is Paar Bhi Us Paar Bhi
Ujde Makaan Viran Ghar Is Paar Bhi Us Paar Bhi
Hai Zindagani Dar-Ba-Dar Is Paar Bhi Us Paar Bhi
Insaan Lahoo Me Tar-Ba-Tar Is Paar Bhi Us Paar Bhi
Insaniyath Hai Dawoon Per Is Paar Bhi Us Paar Bhi
Eak Sannate Ke Aqush Me Manzil Simat Ke So Gai
Raasta Nahi Aata Nazar Is Paar Bhi Us Paar Bhi
Zakhmi Parinde Kab Laut Kar Ghunsle Me Ayenge
Kab Qatam Hoga Ye Safar Is Paar Bhi Us Paar Bhi
Mana Ke Har Taraf Dhuke Hi Dhuke Hain
Fir Bhi Ache Bhale Lakhoo Basher Is Paar Bhi Us Paar Bhi
Mana Ke Shaitaniyath Hai Faili Howi Har Taraf
Allah Ki Rahemath Magar Is Paar Bhi Us Paar Bhi
India Aur Pakistan Ka Beak Honge Aye Mere Khuda
Kab Rath Hogi Saher Is Paar Bhi Us Paar Bhi
Qadeer Ye Amann Ka Paigaam Pahonchaeyga Ab Kaun Wahan
Bhatka Hua Hai Musafir Is Paar Bhi Us Paar Bhi