Har Gham Mein Mere Shaamil
Ye Chaand Sitaare Hain
Lamhe Shab-E-Furqat Ke
Gin Gin Ke Guzaare Hain!
Ab Ishq Ke Zakhmon Kaa
Gham Kaise Karein Saahib
Mittii Men Chupe Chehre
Ashkon Ne Niikhaare Hain
Aiisey Men Ghariibon Kii
Kashtii Ka Khudaa Haafiz
Toofaan Ne Gheraa Hai
Aur Door Kinaare Hain!
Tuu Rooth Gayaa Mujh Se,
Gham Is Ka Naheen Koi!
Gham Hai Ki Tire Gesoo
Ghairon Ne Sanvaare Hain!
Phailii Hain Meri Baahen
Vo Daur Ke Aate Hain
Kyaa Mere Tasavvur Mein
Shaadaab Nazaare Hain!
Is Bazm-E-Haseenaan Mein,
Is Jashn-E-Chiraaghaan Mein
Kiyoon Ham Ko Koi Poochhe?
Toote Huye Taare Hain!!!
Yoon Palken Miri Nam Hain,
Kuchh Bi To Naheen Dikhtaa
Yun Ashk Tire Gham Ne
Aankhon Mein Utaare Hain
Maanaa Ke Rahe Roothe
Maiiyat Pe To Aaye Hain
Ab Kuchh To Kaho “Maikash”
Vo Paas Tumhaare Hain