Hain Uski Ye Kahaani,Hain Aurat Jiska Naam
Jo Hoti Hai Ghar Kii Izzat,Jisse Hota Hain Imaan
Shakhs Nahin Ye Ekk,Iske Hain Roop Anek
Kabhi Maa To Kabhi Behan,Har Roop Mein Hai Ye Mahaan
Par Bhool Chuka Hai Aaj Ka Aadmi Apni Gairat
Bas Dekhta Hai Isse Hawas Se,Ban Gaya Woh Shaitaan
Zara Socho Us Aurat Ko Bhi Diya Jisne Janam Tumko
Naari Kii Naa Izzat Karke,Naa Karo Maa Ko Badnaam
Kya Ye Hii Woh Bharat Hai Jisne Pooja Tha Har Maa Ko?
Kahan Gayi Woh Nazar Poorani,Kyon Badal Gaya Insaan?
Har Roz Bikti Haii Akhbaar Lekar Balatkaar Kii Khabre Hazaar
[B]kahan Gayi Bharatvaasion Woh Tumhari Aan Maan Sanmaan ?
Bas Haath Jodkar Kehta Huun Ab Ban Jao Tum Insaan
Is Paak Dharti Ko Ab Naa Karo Aur Badnaam
Do Us Maa Us Beti Us Behan Ko Poora Sanmaan
Lauta Lao Waapas Wo Gairat Woh Pehle Jaisa Hindustaan