Hai Kaun Zimedaar Iska Aakhir Ye Kis Ki Zimedaari Hai
Apni Hi Kotaahiyon Ka Sabab Tang Nazari Ye Hamaari Hai
Har Simt Gunjte Hai Naare Har Lahzah Khauf Se Bhaari Hai
Insaaniyat Mit Gayi Dilon Se Ab Gham-O-Nafrat Taari Hai
Bacche Maabaap Se Chutey
Kitnon Ke Hai Ghar Lutey
Dil Sabhi Ke Hain Tutey
Apnon Se Apne Bhi Ruthey
Hai Kaun Zimmedaar Iska Aakhir Ye Kis Ki Zimmedaari Hai
‘Aahinsa’ki Is Sarzameen Par Tashaddud Aaj Bhi Jaari Hai
Harsoo Qatl-O-Ghaarat Ka Hai Manzar Charsoo Maaramari Hai
Akhlaaq Ne To Kab Ka Dam Toda Ab Ikhlaas Ki Bhi Baari Hai
Nazariyaa Apna Badalna Hoga
Is Maahol Se Nikalna Hoga
Waqt Ke Saath Chalna Hoga
Aaj Gire Kal Sambhalna Hoga
Hai Kaun Zimmedaar Iska Aakhir Ye Kis Ki Zimmedaari Hai
Jism Tuta Huva Bujhti Nigaahen Dilon Maen Beqaraari Hai
Goya Aas Na Ho Umeed Paas Na Ho Zindagi Se Bezaari Hai
Is Maen Nahi Hai Jeet Kisi Ki Faqat Aadmiyat Haari ! Hai
Haq Ka Muhaafiz Hi Jab Haq Se Muqar Jaiy
Taasub Ki God Maen Insaaf Neend Bhar Jaiy
Fariyaad Yateem Bekaso Ki Jab Be-Asar Jaiy
Aise Maen Kya Kare, Kahaan Koi Bashar Jaiy
Hai Kaun Zimmedaar Iska Aakhir Ye Kis Ki Zimmedaari Hai
Mulk Ke Rahbaron Ki Koi Dekhe Kaisi Ghaflat-Shuaari Hai
Naadim Hai Har Fard Ka Chehra Hind Ki Ye Sharmsaari Hai
Lekin Voh Hain Ke Ab Bhi Jinko ‘Kursi’ Zyaada Pyaari Hai
Nafraton Ke Baazar Maen Pyaar Ka Sikaa Chalta Nahi
In Bechiraghaan Galiyon Maen Ek Diya Bhi Jalta Nahi
Har Shaks Hai Sehma Sehma Sa,Baher Koi Nikalta Nahi
Jab Zameer Hi So Gaya Ho Phir Ehsaas Machalta Nahi
Hai Kaun Zimmedaar Iska Aakhir Ye Kis Ki Zimmedaari Hai
Farq Insaanon Maen Jo Kare Laanat Aisi Siyasat-Daari Hai
Mehfooz Nahi Koi Iske Girift Se Kaisi Ye Fitnakaari Hai
Baksha Nahi Jisne’gandhi’ko Kya Bisaat Meri Tumhaari Hai
Hai Kaun Zimmedaar Iska Aakhir Ye Kis Ki Zimmedaari Hai
Apni Hi Kotaahiyon Ka Sabab Ta! Ng Nazari Ye Hamaari Hai