Hai Aaj Waqt-E-Ruksat Kis Bahane Karun Der
Sara Jamana To Khud Milne Mere Gher Pe Aa Gaya
Tasveer Mit Gayi Hai Nishan Waki Hai
Jubaan Tham Gayi Hai Lekin Bayan Waki Hai
Is Sheher Se Jana Hai Ye To Tay Hai
Jana Hai Kahan Humko Ye Sochna Waki Hai
Chand Roj Aur Theherte‚  To Hum Bhi Chalte
Gher Pe Ek Kaam Jaruri Abhi Dekhna Waki Hai
Chalo Ab Jaga Lo Uter Gayi Hogi
Jawani Ki Thakan Kandhon Per
Nahi Uthega Abhi Budhape Hararat Waki Hai
Duniya Jhuthi Cheejon Mein Ek Tu Hi Sachha Hai Qafan
Tu Bhi Kab Tak Nibhayega
Tera Bhi Ek Imtehaan Waki Hai
Uske Laut Aane Ki Bhala Koi To Raah Dekho
Mushafir Chala Gaya Hai Per Makan Waqi Hai
Chalo Ab Chhodo Bhi Ise Jaldi Iske Gher Bhejo
Abhi To Iske Peechhe Sara Jahan Waqi Hai
Suchh Maan Tere Sath To Mai Bhi Chalta
Kya Rawaytein Hoti Hain Ye Dekhna Waqi Hai
Baaj Aye Hain Mastghan Teri Bahane Baji Se
Itne Suna Diye Ek Sunana Waki Hai
Poochhoge Nahi Wo Kya Bahana Hai
Arey Kuchh Nahi Bus Bahana Hai