Hadson Ka Kafila Jab Gher Se Gujer Jata Hai;
Tab Kahin Insan Ko Jeene Ka Hunar Ata Hai.
Jise Tum Sham Kehto Hujoor ;
Mujhe To Koi Nakabposh Nazer Ata Hai.
Jehen-O-Dil Jab Pareshan Hote Hain;
Jane Kyun Lav Pe Tera Naam Chala Aata Hai.
Tamam Duniya Jab Aankhon Ko Buri Lagati Hai;
To Faqat Aasmaan Sunsan Nazer Aata Hai.
Yehi To Khashiyat Hoti Hai Chand Raton Ki ;
Dundhla – Dhundla Sahi Per Sab Kuchh Nazer Aata Hai.
Zindagi Munh Chupane Lagti Hai;
Samne Maut Ka Jab‚  Aks Ubher Ata Hai.
Kai Tukdon Mein Bant Jata Hai Chehra;
Tootker‚  Jab Koi Aaina Bikher Jata Hai.
Fuzool Zindagi Ko Isliye Nahi Chhoda;
Suna Hai Bigda Mukadder Bhi Sanwer Jata Hai.
Wo Shayad Kahin Sukun Talash Karta Hai;
Parinda Jo Aasman Pe Nazer Ata Hai.
Lazmi Hai Ke Lag Jaye Udher Bhanwron Ka Huzoom;
Koi Gule Masoom Jab Dali Pe Uter Aata Hai.