Gayaa Do-Hazaar-Aath
Duniyaa Ko Dahashat Sey Larhney Kaa Padhaa Paath
Dahshat Ney Chinaa Hai Insaan Kaa Aman-Chain
Firtey Ahbaab Rahey Ashkoun Sey Bharey Nain
Khoon Yahaan Bahaa Wahaan Bahaa Bahaa Sarhkoun Par
Sou-Sou Aansoo Roye Bhaai-Bahin Waalidain
Gayaa Do-Hazaar-Aath
Duniyaa Ko Qatl Sey Bachaaney Kaa Padhaa Paath
Jaagaa Insaan Dooriyaan Ghatin Malaal Ghatey
Insaan Ki Chamarhi Key Rangoun Key Jaal Katey
Gorey-Kaaley Kaa Farq Urh Gayaa Nigaahoun Sey
Achchaa To Achchaa Hai Kyoun Achchaa Door Hatey?
Gayaa Do-Hazaar-Aath
Duniyaa Ko Dosti Badhaaney Kaa Padhaa Paath
Mazloomoun Ko Umid Hai Ki Zulm Hongey Kam
Khushiyaan Badheyngin -Ë—abd-‘ Gussey-Gam Hongey Kam
Nafarat Kam Hogi Aadmi Sey Aadmi Ki Roz
Mohabbat Badheygi Mazhab Key Kham Hongey Kam
Gayaa Do-Hazaar-Aath
Duniyaa Ko Mil-Jul Kar Rahaney Kaa Padhaa Paath