Gar Raat Se Meri Dosti Nahi Hoti,
Yun Baar-Ha Khafaa Roshni Nahi Hoti,
Gaffaar* Main Nahi!Sunlo Ae Muntzir*,
Ke Ishq Mein Meher* Laazmi* Nahi Hoti,
[Gaffaar: Merciful ; Muntzir: Expectant
Meher: Kindness ; Laazmi: Compulsory]
Faazir Karaar Do Ya Kaatil Karaar Do,
Aag-E-Masaaf* Mujhpe Taari Nahi Hoti,
[Faazir: Criminal ; Masaaf: War,Battle]
Ulfat Mein Iss Kadar Magloob* Hoon Ke Ab,
Bardaasht Zeest* Kii Dushmani Nahi Hoti,
[Magloob: Defeated ; Zeest: Life]
Ekk Umr Ho Gayi Kilk* Ko Fanaa Huye,
Par Inteha-E-Mashk-E-Shayri* Nahi Hoti,
[Kilk: Kalam,Pen]
Inteha-E-Mashk-E-Shayri:end Of Practice Of Poetry
Kuchh Iss Tarah Bhii Mod Aate Hain Ishq Mein,
Wo Saamne Ho Deed Phir Bhii Nahi Hoti,
Shayar Kii Hii Dua Be-Asar Rahi Kasak,
Afsos Hain Tehreer* Tilismii* Nahi Hoti
[Tehreer: Writing ; Tilismii: Magical]