Faasle Nazdikiyaan Bhii Bana Deti Hain
Hamse Puchho Jara E Dil
Har Mulaakat Mein Ham Unse
Kitni Door Huye Jaate Hain,
Hame Padh Hi Nahi Paati
Un Aankhon Ki, Beparwaahi,
Ham Har Shaam In Aankhon Me
Kuchh Chubhta Sa Paate Hain,
Shikaayat Ye Nahi Hamko
Wo Meri Raah Nahi Chalte,
Naa Unka Raasta Tay Hain
Naa Wo Manjil Bataate Hain,
Naa Jaane Kya Jataane Ko
Mere Pehlu Me Baithe Hain,
Zehen Me Kuchh, Nazar Me Kuchh
Or Jubaan Se Kuchh Bataate Hain,
Wo Mujhko ‘Wo’ Sunaate Hain
Mai Jo Sunkar Tadapta Hoon
Mai Jo Sunkar Tadapta Hoon
Wo, Wo Phir-Phir Sunaate Hain,
Naaa Jaane Kyon Wo Jid Me Hain
Mai Unke Paas Hi Baithun
Naa Jaane Kyon Wo Paas Aakar
Phir Itni Door Jaate Hain,
Mujhe Naa Chaand Hona Tha
Wo Samjhe Hain Kii Mai Khush Hoon,
Wo Nazrien Kyon Uthi, Kisper Uthi
Khayaal Eise Kaheen Kuchh To Mere Bheetar Jalaate Hain.