Ek Umr Bitaa Ke Duniyaa Mein Kyaa Khoyaa Hai Kyaa Paayaa Hai
Kucch Aise Khayaalon Ne Mere Dil Ko Aksar Bharmaayaa Hai
Duniyaa Ke Chaman Mein Ham Ko Mile Donon Kucch Phuul Bhi Kaante Bhi
Phuulon Ko Ham Ne Baant Diyaa Kaanton Ko Gale Lagaayaa Hai

Khushiyaan Bhi Miliin Aur Gam Bhi Mile Muskaanein Bhi Aur Aansuu Bhi
Kucch Gam Jo Dil Mein Utar Gaye Wo Hi Meraa Sarmaayaa Hai
Ek Arsaa Biit Gayaa Bichhade Milnaa Ab To Mumkin Hi Nahiin
Dil Ab Tak Bhuul Nahiin Paayaa Kaisaa Ye Giit Sunaayaa Hai
Maanind-E Ajnabii Ham Chaahe Duniyaa Ki Nazar Mein Rahaa Kiye
Kucch Rishtaa To Hogaa Jis Ko Dil Yaad Kiye Sharmaayaa Hai
Kahne Ko Bahut Kucch Hai Yuun To Par Un Se Shikaayat Kyaa Kiije
Kyon Khalish Sabab Puuchein Un Se Jin Ne Ham Ko Thukraayaa Hai.