Ek Roj Saam Jab Halki Thi Dhup
Suraj Raha Tha Dhal Aur Chand Tha Nikla
Jab Panchi Rahe The Lot Ghar Tab
Nadiyan Ke Kinare Tahalne Mein Nikla
Wo Nadiya Ka Pani Wo Panchi Ki Sargam,
Wo Khelte Bache Aur Logo Ka Mela
Unhe Dekhkar Mein To Chala Ja Raha Tha
Magar Na Jane Wo Wahase Kaun Nikla
Yu To Dekhe Hai Bahut Hasin Humne
Magar Aapko Dekh Ke Paygam Nilka,
Badi Fursad Se Usne Banaya Hai Tumko
Tumhe Dekhte Hi Rahe Aisa Armaan Nikla
Humne Socha Tha Ke Hum Hi Chahate Hi Tumhe
Lekin Tumhe Chahanewalo Ka To Kafila Nikla
Dil Ne Kaha Chalo Khuda Se Fariyaad Karein
Magar Jana Ke Khuda Khud Hi Tumhe Chahanewala Nikla