Ek Ladki Deewani Si
Ek Ladke Ko Bahut Chahti Thi, Har
Pal Uski Yaado Me Jeeti Har Pal Muskurati Thi
Shayad Apne Saath Ho Rahe Dhokhe Ko
Wo Khud Se Hi Chupati Thi, Aankhon Me
Nami Aur Hothon Pe Muskane Sajati Thi,
Sachi Mohabbat Ki Usne Phir Bhi Har Pal
Thukrayi Jaati Thi, Ek Hassi Dekhne Ko
Uss Ladke Ke Hothon Par Wo Khud Ko
Dard Pahunchati Thi,
Bahut Samjhaya Sabne Par Wo Sabki Baat
Taal Jati Thi, Jab Bhi Koi Kehta Use Ki Wo
Bewafa Hai To Andar Hi Andar Mar Jaati Thi,
Saanse Jaise Use De Chuki, Dil Bhi Usi Bedard
Ko De Aayi Thi, Uss Ladke Ke Baatein Aisi Jo
Har Pal Use Gamm De Jaati Thi,
Phir Bhi Uski Khushi Ke Liye Sab Kuch Kar Jaati
Thi, Uski Bewafai Ko Khud Ki Mohabbat Ka Inaam Batati Thi,
Bhul Gaya Chod Gaya Wo Bewafa Use, Par Wo To
Uske Naam Ki Hi Jyot Dil Me Jalati Thi, Shayad
Najuk Dil Tha Uske Pass Isiliye Chahte Hue Bhi
Usse Nafrat Na Kar Paati Thi
Ek Ladki Diwani Si Ek Ladke Ko Bahut Chahti Thi