Ek Khuwab Deekh Kar Yuun Uthay Thay Ek Dum
Dil Thaa Gharaya Hua Aur Aankhain Thein Num
Ek Ajeeb Se Kaifiyat Thee Ek Ghareeb Ki Haiseyat Thee
Yuun Maloom Hua Jaisa Liya Hai Hum Nay Naya Junum
Pocha Ay Baidar Karnay Walay Phir Say Kyun Kholi Ye Chashum
Mujh Ko Such Such Bata Yee Kahaan Laayee Gaye Hain Hum
Kaha Ai Baikhabar Tujh Koo Nahee Kya Es Baat Ka Ilm
Yee Woo Din Hai Jab Sub Kuch Hona Hai Khatum
Yee Sooch He Rahay Thay Achanak Ek Bulawa Ayaa
Suntaay Hee Ye Khud Ba Khud Chal Paray Hamaray Kadam
Hazer Hoyee Jab Us Kay Darbaar Mai Hum
Ek Warq Dekhaya Jes Par Chalay Thay Fareshton Kai Kalum
Apnay He Haath Paaon Nai Choor Diya Apna Apna Jisum
Bai-Basee Ki Yaroon Nahee Miltee Aisee Koi Kisum
Chup Chaap Suntay Rahay Koi Jawab Dai Na Sakay
Bas Yehi Sada Lagatay Rahay Khudaya Mujh Par Karo Karaum
Na Janay Doost Ehbaab Kidhar Hoo Gaye Thay Gum
Na Bacha Koi Yaar Na Raha Koi Sanum
Kahan Thay Woo Waday Pyaar Kai Woo Reshtay Ghar Bar Kai
Apnoon Aur Baiganoon Ko Sab Ko Thay Apnay Apnay Ghum
Huwaa Samna Jub Hazoor(S.A.W) Sai Guzray Hum Zara Door Say
Kis Moon Say Jatay Kai Aa Rahe The Hum Ko Bare Sharum
Woo To Naa Chahatay Thay Kay Hum Par Hoon Es Tarhan Setum
Kya Kartay Hamaray Esyaan Ka Kuch Zyada Hi Thaa Hujum
Ghalat Haram Ka Tawaaf Kiya Yahee Tha Parwany Ka Jurum
Mujh Koo Kyaa Pata Thaa Yaroon Ye Zindage Hai Itne Kum