Ek Din Tha Jab Hum Uchal Kar Aasman Ko Chuna Chahte The
Aaj Hum Zameen Se Paon Uthane Se Bhi Darte Hain
Ek Din Tha Jab Hum Suraj Ke Aankhon Mein Aankhein Dal Dekhte The
Aaj Hum Andhere Mein Bhi Aankehin Kholne Se Ghabrate Hain
Ek Din Tha Samundar Ke Bahave Ke Khilaf Hum Tairte The
Aaj Hum Pani Ke Paas Jaane Se Katrate Hain
Ek Din Tha Hum Andhiyon Se Bhi Lad Jaate The
Aaj Hum Hawa Ke Jhoke Se Duur Bhagte Hain
Ek Din Tha Kaanton Pe Chal Apni Manzil Tai Karte The
Aaj Hum Phool Ko Chunne Se Darte Hain
Ek Din Tha Hum Garzte Badalon Ki Aawaz Ko Chup Karate The
Aaj Hum Dil Ke Dhadkne Ki Aawaz Se Bhi Ghabrate Hain
Ek Din Hum Jeena Chahte The
Aaj Hum Maut Ka Inteezar Kartein Hain
Ek Din Tha Jab Hum Uchak Kar Aasman Ko Chuna Chahte The