Ek Daastan Suno Ey Mere Doston
Unn Waadiyon Mein Mera Gaon Tha.
Choti Si Thi Duniya Choti Zameen Thi
Chota Sa Samunder Bhi Iss Paar Tha.

Mere Ghar Ke Aagan Mein Kuch Phool Tthey
Phoolon Mein Basa Maa Ka Pyar Tha.
Maa Ke Pyar Mein Ek Vishvaas Tha
Jahan Bhi Main Jaata Her Pal Saath Tha.
Wahin Per Tow Thi Ek Anjaan Dagar
Jahan Per Chupa Ek Mera Pyar Tha.
Woh Hansti Tow Bhanwre Bhi Gaate Wahan
Tha Uska Main Khud Per Mujhe Naaz Tha.
Magar Chup Gaya Aaj Woh Pyar Hai
Nahin Dhoonta Hoon Ki Andkaar Hai.
Ujale Ki Ek Phoot-Ti Si Kiran
Mere Jeete Rehne Ka Adhikaar Hai.
Na Afsos Hai Na Shikaayat Koi
Mujhe Pyar Karna Hai Maa Aur Zameen Se.
Aage Nahin Jaanta Kal Kya Hoga
Mujhe Bas Nibhani Wafa Zindagi Se.