Ek Chehra Hai Kisi Phool Ki Tarah
Jise Dekhu To Jeene Ki Umang Aa Jaye
Uski Muskaan Me Yaaro Taqat Hai Itni
Ke Wo Hase To Patthar Pe Tarang Aa Jaye
Sharabi To Aksar Dimaag Se Behekte Hai
Dil Ko Behkaye Jo Aisi Bhi Ek Surat Hai
Maikhana-E-Husn Mein Aankho Ke Do Jaam
Jo Wo Hai To Muze Peene Ki Kya Zarurat Hai
Na Kehti Hai Wo Kuch Kabhi Kisise
Aur Aankhe Bhi Rakhti Hai Zukaye Zukaye
Uski Yehi Ada Itni Qatil Hai Agar
Jo Wo Aankh Uthaye To Gajab Ho Jaye
Lafzon Ko Zubaa Pe Dabaye Rakhti Hai
Ashkon Ko Aankho Me Sajaye Rakhti Hai
Uski Dua Ko Khuda Qubul Kare Jarur
Is Umeed Pe Muskaan Banaye Rakhti Hai
Zamana Ho Gaya Hume Muhabbat Jataye
Zamana Ho Gaya Unhe Humko Sataye
Hum Jabhi Unse Karte Hai Sawal Koi Pyara
Wo Muskurake Kehti Hai Ke Aap Hi Bataye