Eid Ka Din Hai, Gulaaboun Sey Khiley Hain Cheyhrey
Zaraa-See Laalee Shafaq Ki Usey Laa Dogey Na
Jis Key Cheyhrey Pai Aaj Bhi Hai Gamoun Ki Zardee
Jis Key Beytey Ko, Kiyaa Hai Supurd-E-Khak Abhi
Jis Key Beytey Ney Kiyaa Thaa Koyi Gunaah Naheen
Jis Ko Mazhab Key Naam Par Kiyaa Gayaa Hai Qatl
Eid Key Waasitey Saamaan Gayaa Thaa Leyney
Raastey Mein Milaa Thaa Jis Ko Mout Kaa Saamaan
Chhorh Kar Bhaag Gaye They Jisey Shaitaan Wahaan
Bheerh Rahtee Thee Jahaan Roz Beygunaahoun Ki
Koyi Khidmat Mein Thaa Maa Ki, To Koyi Bahinoun Ki
Koyi Bachchoun Key Liye Ley Rahaa Thaa Gubbaarey
Aaiye: Un Ki Eid Mein Bhi, Kareyn Ham Shirkat
Marham-E-Ashk-Jigar, Chaarahgar Laa Dogey Na?