Dushman Ke Haunslon Ko Bagaawat Se Khareed
Khareedna Hai Augar Mujhko To Mohabbat Se Khareed
Zindgi Ki Galiyon Mein Gum Muft Mein Milta Hai
Lamhen Hain Khushi Ke To Nazaakat Se Khareed
Ruthi Hui Taqdeer Ko Chaahe Na Manaa
Ruthe Hue Mehbub Ko Chaahat Se Khareed
Iss Bazaar Mein Kodi Ke Daam Biqta Hai
Insaan Ke Zameer Ko Daulat Se Khareed
Bichda Hai Augar Ummeed Lekar Milne Ki
So Saal Intzaar Ke Kismat Se Khareed
Rutbe Ka Shouq Hai To Saari Duniya Ko Jhuka
Izzajat Ki Talab Hai To Sharafat Se Khareed
Uslub-E-Aashiqi Na Kaam Aayega Karan
Saccha Ishq Chaahiye To Ibadat Se Khareed