Duniya Me Mera Dil Nahi Lagta, Har Koyi Paraya Lagta Ha,
Darr Aur Koyi Nahi Mujhey Par Kisi Ko Apnane Se Darr Lagta Hai,
Duniya Me Shaamil Hokar Bhi Jaane Hu Duniya Se Dur,
Ab To Mujhe Jaane Apne Aap Se Darr Lagta Hai,

Kaun Deta Hai Yaha Saath Kisi Ka Yaaro Barso Ki Duri Tak,
Tanha Si Rehti Hu Ab Mein, Bas Bheer Se Darr Lagta Hai,
Har Koyi Ek Jaisa, Jaise Kisi Ka Koyi Imaan Nahi,
Hai Har Shaks Beyimaan Is Baat Se Darr Lagta Hai,
Himaat Bhi Itni Nahi Ab Ki Aur Dhoke Bardaash Kar Ley Hum,
Pehley Kehtey They Kaash Sapne Pure Ho, Ab To Kaash Kehne Se Darr Lagta Hai,
Ro Bhi Nahi Saktey Duniya Ke Saamne Aur Muskaan Bhi Raas Aati Nahi,
Chupaye Kya Muh Apna Tanhayo Mein. Mujhe Ab Har Saath Se Darr Lagta Hai,
Khud Se Hi Ghabraati Hu, Aur Bechain Bhi Hua Karti Hu,
Areey Dukhi Hi Rehne Do Yaaro Ab To Chaain Se Bhi Darr Lagta Hai,
Dekhne Waley Bhi Dete Hai Marne Ki Hi Dua Hi Dosto.
Maut Bhi Apna Le To Shikwa Na Kare, Mujhe Jeene Se Darr Lagta Hai,
Khwaab Kameyaabi Ko Chuney Ke Kabhi Mere Bhi Hua Karte They,
Ab Arzu Rahi Hi Nahi Aur Tarrakki Se Bhi Darr Lagta Hai,
Dushman Koyi Hai Nahi Aur Dost Bhi Ab Banati Nahi,
Kya Nibhayun Rasme Riwajain Aur In Juthi Rasmo Se Darr Lagta Hai!!
Kisi Ka Na Hai Bharosa Is Dil Ko, Kisi Se Na Hi Aas,
Hua Kuch Aisa Mere Saath, Kisi Par Vishwaas Karne Se Darr Lagta Hai,