Dukhi Ho Bohat Jaante Hai Hum
Par Ye Toh Jeevan Ka 1 Panna Hai
Dukh Mei Bhi Muskurao Ab
Saath Ab Jo Humaara Hai
Chaha To Naa Jaane Kya Kya Tha
Har Kuch Kaise Paaye Hum
Pasand Toh Hai Sabko Phool Hi
Par Patjhad Bhi Toh Aate Hai
Sukhe Patte Patjhad Ke
Bhi Toh Zindgi Ka Hissa Hai
Iska Har Ek Pal Toh
Khushnuma Nahi Ho Sakta Hai
Kabhi Hai Gam Toh Kabhi Khushi
Har Pal Toh Muskurahat Rehti Nahi
Jisne Kabhi Aasu Dekhe Hi Nahi
Woh Zindgi Ki Hakikat Se Waakif Nahi
Kabhi Naa Aaye Aasu Aakho Mei
To Khushiyo Ki Kaise Kadar Hogi
Jaante Hai Kaafi Roye Hai Aap
Haa -Â…woh Ek Mushkil Ghadi Hogi
Har Pal Ab Hai Hum Saath
Gam To Ab Bhi Aayenge
Unhe Khatam Nahi Kar Sakte Hum
Par Saath Milkar Zaroor Hatayenge-Â…