Dour-E-Mahshar Ke Liye Waqt Bahut Baqi Hai
Saikrhoun Sadiyaan Beetne Pai Aayega Wo Din
Jaam-E-Kousar Mileygaa Yom-E-Hashra Hone Par
Mein, Itnaa Lambaa Intizaar Nahin Kar Sakta
Is Liye, Mein Ne Padhi Hai Kabhi Namaaz Nahin
Apne Saaqee Se, Ta’alluq Hai Azal Sey Meyraa
Woh, Ba’ad Hashra Bhi, Pahloo Mein Raheygaa Mere
Yeh, Us Kaa Wa’adah Hai, Jis Pai Hai Yaqeen Mujhe
Waisey, Mein May Ko, Mahaz Zehn Sey Hi Peetaa Hoon
Halq Sey Meyrey Utartaa Hai Nosh, Aab Huaa
May To Peetaa Hun Mein, Par, Us Key Uyoonoun Kee Hee
Chaahiye Mujh Ko Mahaz Saaqiyah Ki, Us Kee, Duaa