Dosto Ye Maine Likha Hai Mumbai Ke Liye
Shayed Mumbai Isi Trah Hai Ya Shayed Main Galat Hu
Ye Shahar Hai Patharon Ka Har Bashar Pathar Yahan
Dhadkane Hai Patharon Si Dil Jigar Pathar Yahan
Patharon Se Inke Waide Patharon Sa Pyar Hai
Patharon Ke Shahar Me Har Nazar Pathar Yahan
Khaak Pahchanega Koi Hum Jaise Ghum Gusaar Ko
Ugalta Har Baat Me Hai Jahar Har Pathar Yahan
Mujh Si Pyaasi Kitni Ruhe Bhatakti Hai Har Taraf
Ban Gayi Sagar Ki Dekho Har Lahar Pathar Yahan
Khanakte Ghungru Ki Aawaze To Aati Hai Raat Din
Par Hai Lagta Ki Baraste Har Pahar Pathar Yahan
Shaam Ki Taarikiyon Me Duba Hai Apna Sukhan
Ban Gayi Apne Liye To Har Sahar Pathar Yahan
Kaun Jaane Ga Mere Nagmo Se Uthte Dard Ko
So Raha Hai Neend Me Har Be Khabar Pathar Yahan
Chal Kahin Ai ‘Sam’ Chal Tu Door Kahi Is Shahar Se
Ban Gaya Apne Liye To Har Shahar Pathar Yahan
Waise Itna Bura Bhi Nahi Hai Mumbai
Main Ne To Bus Yu Hi Likha Hai