Dil Ki Haalat Wo Samjhe Ki Jisne Chot Khayee Hai
Ek Baar Nahi, Kai Baar, Ye Zahamat Jisne Uthai Hai
Jisko Ab Har Shakhs Nazar Aata Harjaai Hai
Jisne Bas Todne Ke Liye Hi Kasam Khayee Hai
Tum Kya Jano Muhabbat Ki Raah Mein Kitni Ruswayi Hai
Tumhaari Aankhon Mein To Bas Sohni Samayi Hai
Khakar Ke Do Chot, Janaab Khud Ko Sayana Samjhte Hain?!,
Lab Pe Nahi Laate, Magar Aahen Hum Dil Mein Bharte Hai,
Ruswayi Karna, Pichli Baato Pe, Nahi Hai Samajhdari,
Badal De Apne Khayalaat, Nahin To Rah Jayegi Tu Kuwari
Mana Ki Dil Toota Hai Kai Baar Lekin
Humne Kab Kaha Ki Hum Sayane Hain
Arre Itna Bhi Nahi Samjhe Huzoor
Hamdardi Haasil Karne Ke Bahane Hain
Hamdardi Kar Sakte Hain Woh,
Khud Ka Dard Jinka Ho Kam,
Bedard Na Samjhna Hamko Tum,
Apne Bhi Hai Yaroon Laakhon Gam.
Bedard Hame Samajhte Hai Wo Par Bedard Hum Hain Nahi
Humse Apna Hal-E-Dil Wo Aakar Kabhi Kahen To Sahi
Sunane Gaye The Unhe Haal-E-Dil,
Dard Unka Sunkar Ro Aaye Magar.ƒ‘’š-