Dil Ki Gehrayion Se Chaha Tha Tumhe
Zehen Ki Unchayion Se Saraha Tha Tumhe;
Lagti Thi Tum Chaand Ki Tarah
Suraj Ki Ujjawal Kirnon Ki Tarah;

Tanhai Mein Bhi Sochte The’ Tumko
Bheed Mein Bhi Khojte The’ Tumhi Ko;
Tumhare Siva Kisi Ka Khayal Na Tha
Aur Kisi Rishtey Ka Sawaal Hi Na Tha;
Tum ‘Bewafa’ Nikloge Kabhi Socha Na Tha
Majhdhaar Mein Soch Doge Kabhi Socha Na Tha;
Socha To Ye Tha Maana To Ye Tha;
Ki Kabhi Pyaar Na Karenge Hum
Kisi Pe Bhi Aetbaar Na Karenge Hum;
Dil Ko Patthar Bana Liya Tha
Tumhari Yaadon Ka Pehra Bitha Liya Tha;
Tanha Hi Jee Lete Hum
Ashkon Ko Yuhin Pee Lete Hum;
Kyun Main Ek Bewafa Ke Liye
Kisi Ki Wafa Ko Salaam Na Karoon;
Kyun Main Tum Jaiso Ke Liye
Apne Dukhon Ko Qurbaan Na Karoon;
Kyun Jiyun Main Yun Tanha
Jab Tum ‘Jee’ Rahi Ho Har Lamha;
Kyun Main Deewanon Sa Chahoon Tumhe
Jab Mera Khayal Bhi Nahi Hai Tumhe;
Haan…Main Kabhi Tumse Pyaar Karta Tha
Jee-Jaan Tumpe Nisaar Karta Tha;
Par Aaj Se Main Tumhe Yaad Na Karoonga
Kabhi Milne Ki Fariyaad Na Karoonga;
Apni Bewafaayi To Shaayad Bhool Bhi Jaoge
Par Meri Wafa Ko Kabhi Na Bhula Paaooge;
Tumhe To Ek Din Bhool Jaoonga Main
Par Hamesha Tumhe Yaad Aaoonga Main