Dil Jalta Hai Aag Ki Manind, Aur Gujra Har Lamha Raakh Hota Hai.
Aisa Aksar Hota Ha Uthhte Hain Kadam Khwab Ki Taraf,
Aur Jehn Haqikat Se Mukhatib Hota Hai. Aisa Aksar Hota Hai
Pyaas Hoti Hai Jaam Peene Ki,Aur Har Paimaana Chalakane Ki Cahah Mein Hota Hai.

Aisa Aksar Hota Hai Rooh Dhoondhti Hai Dava Mere Dard Ki,
Aur Har Baar Ek Naya Zakhm Hota Hai. Aisa Aksar Hota Hai
Dil Karta Hai Koshish Khud Ko Jodne Ki,
Aur Har Baar Maayus Hota Hai. Aisa Aksar Hota Hai
Dekh Lete Hain Aaina Ki Khud Ko Na Bhool Jayen,
Aur Har Baar Aaina Ro Raha Hota Hai. Aisa Aksar Hota Hai
Dil Karta Hai Koshish Apna Gulshan Basane Ki,
Aur Har Baar Ek Toofan Usse Ujjad Raha Hota Hai. Aisa Aksar Hota Hai
Umeedien Sambhalti Hai Kashti Ko Hausle Ke Liye,
Aur Har Ek Amaan Dariya Mein Doob Raha Hota Hai. Aisa Aksar Hota Hai
Ashkon Ko Ponchhti Hai Meri Parchhai,
Aur Har Ansoon Nami Dhoondh Raha Hota Hai. Aisa Aksar Hota Hai
Kalam Uthhate Hain Kuch Likhne Ki Chah Mein,
Aur Har Baar Kalaam Mein Dard Chhupa Hota Hai. Aisa Aksar Hota Hai-Â….