Dil-E-Nadan Ko Uss Ka Guman Hota Hai
Jab Bhi Chandni Raat Ka Samaa Hota Hai
Us Ne Dekha Hi Nahi Ghor Se Ankhoon Main Meri
Inn Main To Har Dam Uss Ka Hi Nasha Hota Hai
Wo Jis Ke Pal Pal Ki Khabar Thi Humain
Abb Ye Bhi Nahi Pata Wo Kahan Hota Hai
Koi Bhi Rut Ho Ya Raat Ho Tanhai Ki
Hum Aur Uss Ki Yadoon Ka Jahan Hota Hai
Dil-E-Nadan Ne Kar Diya Hai Be Bas Ashar
Janta Hoon Har Eik Ke Naseeb Main Kahan Piyar Hota Hai